Zindagi Sunnat ke mutabiq guzare aur Allah Pak ke mehboob banjaye
NAQSH E QADAM NABI KE HAIN JANNAT KE RAASTE,
ALLAH SE MILATE HAIN SUNNAT KE RAASTE
Hadees mai hai ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya:
Jis
Shakhs ne Meri Sunnat ki Hifazat ki (Dil o Jaan se isko mazboot pakda
aur ispar amal kiya) to ALLAH Ta'ala 4 baaton se iska ikraam karega.
1) Nek Logo ke Dilo me iski Mohabbat paida karega.
2) Fajir aur Badkar Logo ke Dilo me Haibat daal dega.
3) Rizq me Wus'at aur Barkat ataa karega.
4) Deen me pukhtagi Naseeb farmayega.
(Sharah Sharatul Islam: Page:8, Syed Ali Zadah)
*******{ Wazu aur Miswak ki Sunnatain }*******
Jub
zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in
sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool sallaallahu alaihi
wasallam ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki
baat hai.
1. wazu se pehle (bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim)
2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye.(bukhari,muslim)
3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
4. bayen hath se naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
5.
kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar
hai to mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak
saf kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik hath se kulli ki
aur aik hi hath se Naaksaf kiya.(bukhair,muslim)
6. wazu me kulli
krte waqt miswak kijiye.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne
farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai
unhe har wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai).
7. Agar
dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte
the.(tirmizi).
8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai.
9.
hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi
wasallamne irshad farmaya, wazu achhi tarah karo aur ungliyon k
darmiyan khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas ai)
10. haton aur
pairon ko dhote huwe sidhijanib se shuru Karen, is tarah k pehle sidha
hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen, Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne
wagaira me sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim).
11.
Har azu ko aik martaba se zyada yanido do martaba ya teen teen martaba
dhoyye, jaisa k hadees me hai k Aap sallaallahu alaihi wasallam ne do do
martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3
martaba se zyada na dhoye.
12. pani k istemal me aai’tedal se
kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi na ho ko israf hojaye aur
na bilkul kmk aaza bhi sahi tour per na dhule,
Huzoorsallaallahu alaihi wasallam pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam lete the.
13.
Apne ghr me wazu kar k masjid jayye, Huzoor sallaallahu alaihi
wasallamne Irshad farmaya, Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir
allah k ghron me se kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k
Farayez me se koi fariza ada kare to us k qadmon me se har aik qadam
aik gunah ko mitata hai aur dusrahar qadam aik darja ko bulnd karta hai.
14.
wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur Muhammad Arabi
sallaallahu alaihi wasallam k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun
kahiye.("Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa
Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu WaRasooluhu" jo koi wazu k baad ye
kalimaye shahadt padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate
hai jis darwaze se chahe dakhil hojaye.(muslim)
15. wazu k baad 2
rakhat Namaz ada kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne irshad
farmaya, Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki
Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k
pichle gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim)
16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye.(bukhari).
*********{ Miswak}**********
Miswak
krna bhi aik aisi azeem sunnat hai k aik Musalman aik din aur aik raat
me 15,20 martaba kam as kam miswak krskta hai, is tarah 15,20 martaba is
sunnat k ada krne ka sawab is k naame aamal me likha jaye ga jo
Zakhiraye Aakhirat bn jaye ga.
Panch waqt Namazon k waqt miswak
kijiye,Tahajjud,Awwabeen,C hasht,Ishraq,Wagaira k liye Miswak kijiye,
Ghr me dakhi ho to miswak kijiye, Jaisa k Huzoor sallaallahu alaihi
wasallam ka amal bhi raha hai,
Hazrat Ayesha R.A farmati hai k Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam jb ghrme Dakhil hote to sub se pehla kam ye
hota tha k Aap sallaallahu alaihi wasallam Miswak Farmaya karte
the.(muslim)
Quran Majid ki tilawat k waqt, Muh me badbo k ehsas k
waqt, Neend se bedar hote waqt, aur wazu karte waqt in tamam Mawaqe pr
Miswak krte huwe Aadmi apne Muh ko saaf bhi rakh skta hai aur apne Rub
ko razi bhi kr skta hai, Aur bisiyoon martaba isi sunnat per amalkrte
huwe Ajr-o-Sawab ka Zakhira bhi kr skta hai, Huzoor sallaallahu alaihi
wasallam ne Irshad Farmaya: “ Miswak muh ki Pakizgi ka Zariya aur rub ki
Khushnudi ka sabab hai”.(Ahmed)
SHARA'IT E NAMAZ
Shara'it e Namaz 7 hain:
1) Badan ka Paak hona.
2) Kapde ka Paak hona.
3) Jagah ka Paak hona.
4) Satar (Naaf se Ghutne tak ka hisse) ka chupana.
5) Namaz ka Waqt hona.
6) Qiblah ki taraf munh karna.
7) Niyyat karna.
NAMAZ KE FARA'IZ
Namaz ke Fara'iz 6 hain:
1) Takbir e Tahrima yani "ALLAHU AKBAR" kehna.
2) Qiyaam yani khada hona.
3) Qira'at yani Qur'an ki 3 choti Aayaat ya 1 badi Aayat ka parhna.
4) Ruku'a karna.
5) Dono Sajde karna.
6) Qa'ada e Akhirah me Tash'hud ki miqdar baithna.
WAJIBAAT E NAMAZ
Namaz k 14 Wajibaat hain.
--------------------------------
1) farz namaz ki pehli 2 rakat me or sunnat ,nafil or vitr ki har rakat me surah fatiha padhna.
2) farz ki pehli 2 rakato ko kira'at k liye khas padhna.
3) farz ki pehli 2 rakato me or dusri namazo ki har rakat me surah fatiha k saath surah ya badi ek aayat ya 3 choti aayat ka padhna
4) namaz k har arkaan ku tartib se adaa karna.
5) rukua kar k sidhe khada hona.
6) 2 sajdo k bich me bethna.
7) pehla qaidah karna ( 3 or 4 wali rakat wali namaz me 2 rakat k baad bethna.)
8) dono qaidah me attahiyyat ka padhna.
9) namaz k har rukan ko barabar itmenan se adaa karna.
10) zohar ,asar me kira'at aahishta padhna.
11) imaam ka magrib or isha ki pehli 2 rakat me or fajar ,jum'ah ,taravih, or dono eid or ramadan me vitr ki namaz me kira'at buland aawaz se padhna.
12) namaze vitr me teesri rakat k me kira'at k baad haath utha k allahu akbar keh k dua-e-kunut ka padhna.
13) dono eid ki namaz me 6 ziyadah takbire kehna.
14) assalamu alaykum keh ka salam karna.
-----------------------------------
mas'ala :- agar in 14 vaajibat me agar ek bhi vajibat bhul se chut jave to sajda sahav karna vaajib ho jata he. or sajad sahav karne ka tarika ye he k attahiyat padh k sirf dai janib salam kare or fir se 2 sajde kare or fir attahiyyat ,durud shairf or dua-e- mashurah padh k namaz puri kare. lakin agar in me se agar jan-buz kar agar kisi ne koi vajibat chod diya to uski namaz fasid ho gai.usko fir se namaz padhni padehgi. ---------------- bahot saare logo ko dekha ja raha he k rukua se sidha khade hi nhi hote or sajde me chale jate he. or 2 sajde k darmiyan bhi jitna bethna chahiye itna nahi bethte. allah k nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya k badtarin chor wo he jiska rukua or sajda sahi se na ho. zara socho k rukua or sajda sahi se na hoto badtarin chor kaha gaya he.
ALLAH HAM SAB KU SAHI NAMAZ PADHNE KI OR SUNNAT K MUTABIK PADHNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAAVE....AMEEN.
--------------------------------
1) farz namaz ki pehli 2 rakat me or sunnat ,nafil or vitr ki har rakat me surah fatiha padhna.
2) farz ki pehli 2 rakato ko kira'at k liye khas padhna.
3) farz ki pehli 2 rakato me or dusri namazo ki har rakat me surah fatiha k saath surah ya badi ek aayat ya 3 choti aayat ka padhna
4) namaz k har arkaan ku tartib se adaa karna.
5) rukua kar k sidhe khada hona.
6) 2 sajdo k bich me bethna.
7) pehla qaidah karna ( 3 or 4 wali rakat wali namaz me 2 rakat k baad bethna.)
8) dono qaidah me attahiyyat ka padhna.
9) namaz k har rukan ko barabar itmenan se adaa karna.
10) zohar ,asar me kira'at aahishta padhna.
11) imaam ka magrib or isha ki pehli 2 rakat me or fajar ,jum'ah ,taravih, or dono eid or ramadan me vitr ki namaz me kira'at buland aawaz se padhna.
12) namaze vitr me teesri rakat k me kira'at k baad haath utha k allahu akbar keh k dua-e-kunut ka padhna.
13) dono eid ki namaz me 6 ziyadah takbire kehna.
14) assalamu alaykum keh ka salam karna.
-----------------------------------
mas'ala :- agar in 14 vaajibat me agar ek bhi vajibat bhul se chut jave to sajda sahav karna vaajib ho jata he. or sajad sahav karne ka tarika ye he k attahiyat padh k sirf dai janib salam kare or fir se 2 sajde kare or fir attahiyyat ,durud shairf or dua-e- mashurah padh k namaz puri kare. lakin agar in me se agar jan-buz kar agar kisi ne koi vajibat chod diya to uski namaz fasid ho gai.usko fir se namaz padhni padehgi. ---------------- bahot saare logo ko dekha ja raha he k rukua se sidha khade hi nhi hote or sajde me chale jate he. or 2 sajde k darmiyan bhi jitna bethna chahiye itna nahi bethte. allah k nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya k badtarin chor wo he jiska rukua or sajda sahi se na ho. zara socho k rukua or sajda sahi se na hoto badtarin chor kaha gaya he.
ALLAH HAM SAB KU SAHI NAMAZ PADHNE KI OR SUNNAT K MUTABIK PADHNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAAVE....AMEEN.
NAMAZ KI 51 SUNNATEIN
QIYAAM ME 11 SUNNATE HAIN.
1.takbire tahrima k waqt sidha khada rehna ( matlab k sar ku zukana nahi)'
2.dono paanv k bich me 4 ungli jitna distance rakhna or paanv ki ungliyo ko kible ki taraf rakhna.
3.muktadini takbire tahrima imaam ki takbire tahrima k saath hona.
4.takbire tahrima kehte time dono hath ku kaan tak uthana.
5.takbire tehrima k waqt haath ki ungliyo kible ki taraf rakhna.
6.takbire tahrima k waqt haath ki ungaliyo apni asal posititon pe rakhna.
7.haath bandh ne k waqt daye hath ki hatheli ko baaye hath ki hatheli ki pith pe rakhna.
8.mardo ko daye hath ki tachli ( choti ) ungli or anguthe dono ko mila k baaye hath ka kanda pakadna.
9.bich wali 3 ungliyo ko baaye hath ki kalai par rakhna.
10.mardo ko naaf k niche haath bandna.
11.sana padhna .
Qira'at ki 7 Sunnate hain.
1. ta'avvuj yani auzubillah pura padhna.
2.tasmiyah yani pura bismillah padhna.
3.dhire se aamin kehna.
4.fazar or zohar me" tivale mufassal" matlab surah hujurat se surah burj tak asar or isha me"avsaale mufassal" matlab surah buruj se surah lam yakul tak magrib me"kisare mufassal" matlab surah iza zulzilat se surah naas tak ji surah me se koi surah padhna.
5.fajar ki pehli rakat lambi karna.
6.qura'an na ziyadah jaldi padhna ,na ziyadah ruk k padhna, balke middle speed se padhna.
7.farz namaz ki teesri or chothi rakat me sirf surah fatiha padhna.
Ruku'a ki 8 sunnate.
1.ruku'a ki takbir padhna.
2.mardo ko dono haath se guntan pakadna .
3.haath ki ungliyo ko pahona kar k gunatan pakadna.
4.paanv ki pindi o ko sidhi rakhna.
5.ruku'a me mardo ko pith bicha dena.
6.ruku'a me mardo ko sar or surin sidhi line me rakhna.
7.ruku'a me kam se kam 3 martaba"subhan rabbiyal azim" padhna
8.ruku'a se uthte time imaam ku" samiallahu liman hamidah"kehna muktadi ku"rabbana lakal hamd" kehna or akele namaz padhne wale ko dono kehna.
Sajde ki 12 sunnate.
1.sajdah ki takbir padhna
2.jab sajdah me pehle dono guntno ko rakhna.
3.uske baad dono hath ku zameen par rakhna.
4.uske baad naak zameen par rakhna.
5.uske baad peshani ko zameen par rakhna.
6.dono hatho k bich sajdah karna.
7.mardo ko sajdah me apne pet ku jaang se alag rakhna.
8.mardo ku baazu ( matlab haath ki koni or khabhe ku ) pehlu ( matlab paasa ) se alag rakhna.
9.mardo ko haath ki koni ko zameen se alag rakhna.
10.sajdah me kam se kam 3 martaba" subhan rabbiyal aa'ala" padhna.
11.sajdah se uthkar tabir padhna.
12.sajdah se uthne k time sab se pehle peshani ,fir naak , fir haath , or uske baad guntno ( is tarah tartib se ) uthana or dono sajdo k darmiyan itmenan se bethna.
Qaidah ki 13 sunnate.
1.kaidah me mardo ko daaya paanv khada rakhna or baaya paanv bicha k uske uper bethna. or paanv ki ungliyo ko kible ki taraf rakhna.
2.kaidah me dono haatho ko jaang par rakhna.
3.tashahahud ( matlab attahiyyat ) me"ashahadu allah ilaah" pe shahdat ki ungli ko uthana or" illallah" pe zuka dena.
4.aakhir qaidah me durud sharif padhna.
5.durud sharif padhne k baad qura'an k hadees me aai ho esi koi duaa padhna.
6.dono taraf salam firana.
7.salam ki sura'at daai taraf se karna.
8.jab salam firte time imaame muktadi ,farishto or nek jinnat ko salam ki niyat karna.
9.salam firte time mukatdi e imaam ,farishto or nek jinnat or dai-bai k muktadi o ko salam ki niyat karna.
10.munfarid ( akele namaz padhne wale ) ku sirf farishto ko salam ki niyat karna.
11.muktadi ko imaam k saath salam firana.
12.imaam ko dusri salam ki aawaz ku pehli salam se thoda aawaz ku kaam karna.
13.masbuke ( jiski suru'aat ki rakat chut gai ho ) imaam k farig hone ka intezar kare.
********{ Guftagu ki Sunnatain }*********
1. Jub guftagu Karen to Alfaz saf saf Ada Karen samne wale ko mutmain karden, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ki Guftagu hamari tarah laga taar jldi jldi Nahi hoti thi bl k saf saf har Mazmoon Doosre se Mumtaz hota tha paas Baithnewale Acchi tarah Zahe Nasheen Karlete the.(shamail tirmizi).
2. Aksar aouqat Khamoosh Rehna aur Zarurat per Guftagu krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam AksarKhamoosh Rehte the Bagair zarurat Guftagu na farmate the.( shamail tirmizi).
3. Kisi waje se kisi janib ishara krna ho toPoore hath se Ishara Krna chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Poore Hath se Ishara farmate the.( shamail tirmizi).
4. Guftagu me muskuraht ho, Hazrat Abdullah bin Hairs R.A farmate hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se zyada tabassum Krne wala main e Nahi daikha.(shamail tirmizi).
5. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka Hansna Tabassum se zyada nahi hota tha.
6. Tehzeeb se giri huwi baton ko Isharatnkehden. Yaad Rakhe:Jub Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton Sonchna Mukhtasar Bolna.
*********{ Aik Doosre se Mulaqat ki Sunnatain }**********
1. Aik Muslman jb Doosre Musalman se Mulaqat kare to Sub se Pehle Salam Karen. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se pucha gaya k kounsa islam behter hai? Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya tum Khana khilao aur salam karo jis ko Pehchante ho us kobhi aur jis ko Nahi Pehchante us ko bhi.(Bukhari,Muslim).
2. Aik doosre se Muskurate huwe Khushdili se mulaqat krna bhi sunnat hai,Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Tum kisi bhi Bhale kaam ko Haqeer mat samjho hatta k tum apne Bhai se khushdili se muskurate huwe milo, ye bhi koi choti Naiki nahi hai.(Muslim).
3. Aik doosre se Mulaqat k waqt Musafh krna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Jub bhi do Musalman aik Doosre se mulaqat krte hai aur Musafah karte hai to un k Juda hone se Pehle un dono ki Magfirat krdi jati hai.(Abudawood)
4. Jub aik doosre se Mulaqat Karen to acchi guftagu Karen, Kisi se acchi Guftagu krna bhi to Naiki ka kaam hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, (Alkalimatu’Tayyibatu Sadaqh) Acchi baat kehna bhi Sadqa hai.(Bukhari,Muslim).
********{ Timardari (Iyadat) ki Sunnatain }********
1.Iyadat ki aik sunnat ye hai k bimar ko Tasalli di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya jub tum Bimar k paas jao to us se kaho k abhi tumhari umr bahot hai ye baat Allah k kisi faisle ko rud nahi karsake gi, Lekin is se us ka dil khush ho jayega.(Tirmizi).
2.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k bimar khaq me Allah tala se Dua Karen.
3.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam jub kisi bimar ki iyadat karte to ye dua Farmate, Aye logon k rub! Bimar ki skhti ko is se door karde, ise aisi Shifa de jo kisi bimari ko na chhode tu shifa dene wala hai, tere siwa koi aur Shifa nahi de skta.(muslim)
3.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k Timardar bimar ke Paas km baithe, Hazrat Ibne Abbas R.A ne farmaya, Bimark paas Shor-o-Gul na krna aur kum baithna Sunnat hai.(Mishkat)
4.Jub kisi Mareez ki Iyadat kare to us se Yun kahen: (la ba'sa tahoorun inshallah) Kuch harj nahi Inshaallah ye bimari tum ko Gunahon se Paak karegi.
5.Aur sath martaba us k Shifayab hone ki yun dua Karen:(as alul laahal azeema rabbal arshil azeemi ay yashfi yak) mai Allah se sawal karta hun jo bada hai aur bade arsh ka rub hai k tujhe shifa dewe. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya hai k 7 martaba is k Padhne se Mareez ko shifa hogi Han agar us ki Mouthi aagai ho to doosri baat hai.(mishkat)
**********{ Cheenk Laine ki Sunnatain }***********
1. Jub cheenk le to Alhamdulillah (الحمد للہ) Kahe.
2. us k Jawab me Sunne wala Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) kahe.
3. Phir Cheenk ne wala yahdikumullahu wa yuslihu balakum (یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kahe.(shamail tirmizi).
4. Doosre mzhab k log agr Cheenken to yahdikumullahu wa yuslihu balakum (یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kehna masnoon hai, Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) na kahen.
5. Pst Aawaz se Cheenkne ki koshish Karen Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Cheenk bahot pst aawaz se lete aur isi ko Psnd farmate the.(shamail tirmizi).
6. Cheenk lete wqt apne muh per Hath rkhna chahiye ya kpda muh per Rakh lena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka yahi Aml raha hai.(shamail tirmizi).
-------------------------- ------- Gour Farmayye -------------------------- ------- Mamuli si Cheenk ki Waje se aik Musalman 5,6 Sunnaton per Amal Paira hota hai kitna Pyara Hai ye deen jis me Cheenk ko bhi Ba’ise Ajr bana diya gaya.
**********{ Khane se Pehle aur Baad ki Sunnatain }*******
1. khana khane se pehle bismillah (Bismillahi wa ala baraka Tillah) padhlena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik km umr sahabi R.A se khitab karte huwe ye hukum diya, “ aye bacche! Allah ka Naam lo, sidhe hath se khao aur apne samne jo hai waha se khao”.
(Muslim)
2. is hadees se bismillah k alawa aur 2 sunnaton ka saboot mila wo ye k sidhe hath se khana chahiye,
3. aur teesri sunnat ye hai k Apne samne se khayen yani jo cheez apne samne hai wo khayen.
4.khane k douran agar luqma gir jaye to us ko saaf kar k khalena chahiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Jub tum me se kisi k hath se luqma gir jaye to jo kuch us ko laga ho wo door karde phir khale.(Muslim)
5.Teen ungliyon se khayen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Teen ungliyon se khaya karte the.(Muslim)
Han!Agar koi aisi cheez ho jis ka Teen ungliyon se khana mumkin na ho to phir gunjayesh hai char ya panch ungliyon se khayen.
6. khane k baad bartan ko saaf Karen aurungliyon ko chat lain, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne ungliyon ko chat laineaur bartan (plait) ko saaf karne ka hukum diya aur farmaya k tum nahi jantek kis dane me barkat hai.
7. khane k baad Allah Tala ki Hamdo sanabayan Karen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya , Allah Tala us bande se razi hote hai jo khaye phir us per Allah Tala ki tareef bayan Karen.(Muslim)
8. Khane k baad ki wo dua padhe jis me Allah ki Hamd-o-sana hai, “Alhamdulillahilladzi at 'amana wasaqana waj 'alna minal muslimin” Shukr hai Allah ka jis ne hum ko khilaya aur pilaya aur hum ko musalman banaya.(jame tirmizi)
1.Dono hath gattho tak dhona.
2.Dastarkhwan bichana.
3.Bismillah padhna.
4.Daye hath se khana (baye hath se har giz na khaye).
5.Apne samne se khana Agar tashtari me kai qisam ki cheezen ho to jopasnd ho wo khaye kisi ka hath badh raha ho to Apne hath ko rok le.
6.Teen ungliyon se khana.
7.Pyala tashtari Neez ungliyon ko chat kar saaf karna.
8.Agar luqma gir jaye to utha kar khalena.
9.khane me ayeb na lagana.
10.Taik laga kar na khana.
11.khane k baad ki dua padhna.
12.pehle dastarkhwan uthana, phir khud uthna.
13.kulli karna.
14.dono hath dhona.
15.khane se pehle bismillah bhool jaye to ye dua padhe (bismillahi awwalahu wa akhirahu).
Allah k Naam k sath khane k shuru me bhi aur us k Aakhir me bhi.(Sunan Abi Dawood).
**********{ Mehman Nawazi ki Sunnatain }**********
Hamare gharo me Rishtedar ya Dost-o-Ahbab bahaisiyat Mehman aate hi rehte hai, in Mehmano k sath Husne-Salook ko Mehman Nawazi Kehte hai, Mehmanon k sath husne salook krte huwe in Sunnatonko Malhooz rakha jaye.
1. Mehmano ko khush amdeed kaha jaye aur un k haq me dua di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam k paas QabilaAbdul Qais ka wafd aaya to Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne un ka Isteqbal Farmaya aur un k Haq me Duayen di, (فَرَحَّبَ بِنَاالنَّبِیُّ وَدَعَالَنَا)
Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Hame khush amdeed kaha aur Hamare liye duadi.(musnad ahmad)
2. Mehmano ki khatir tawazeh krni chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais ki Aamd k moqe per Ansar se Khitab krte huwe farmaya,
(یَا مَعشَرَ الاَنصَارِ اَکرِمُوا اِخوَنَکُم)
aye Ansar! Tum apne bhaiyyo ki khatir tawazeh karo.(musnad ahmad)
3. Mehmano k liye aaram dah bister Farahm kiya jaye, behtareen Khana khilaya jaye aur deen ki baton ki taleem bhi di jaye, agr wo us k talbgar hon, yahi waje hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais se pucha k Ansar ne tumhari khatir tawazeh kaise ki? To unho ne kaha Ansar ne hamare liye Aaram dah bister farahm kia bahtareen khana khilaya aur raat me aursubah ko ye log hame hamare Rub ki kitab aur Nabi k tariqe ki taleem dete rahe.
4. Mehmano ki mehman Nawazi khud apne hath se krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Mehman Nawazi banfs nafees (apne hato se) khud kiya krte the.
5. Hazrat abu huraira R.A se riwayat hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya “sunnat ye hai k Aadmi mehman ko Darwaze tk roqhsat krne jayen’.(ibne majah)
********{ Kisi k Ghar me Jate waqt ki Sunnatain }*********
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)
1. Kisi k ghar me Dakhil hon to ghar walon se Pehle Ijazat lena Masnoon Hai.
2. Aur ijazat se Pehle Ghar walon ko Salam krna bhi Masnoon hai.
3. Ghar wala ye Daryaft kare k aap koun ho to Jawab me bajaye “Mai Mai” kehne k Apna Naam Wazeh tour per Batladena Masnoon hai.
4. Darwaze k dayen ya bayen janib Khade hoker Salam karna Aur ijazat Talab karna Chahiye.
********{ Kapde Pahnne ki Sunnatain }********
Har aadmi kapde pahnta hai Agar yahi kapde Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe per pahne jayen to sirf kapde pahnte huwe Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki kai Sunnaton per Aml hojayega, Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Muhabbat ka taqaza yahi haik Aap k har aml se mohabbat paida hojaye aur hamari Zindagi Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Zindagi k Tabe hojaye.
Hum Rozana hi kapde pahnte aur utarte hai, yahi kapde utarna aur Pahenna Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe k mutabiq ho jaye to hamari Zindagi Sunnaton se Mamoor ho jaye gi.
Hum Gusul karte hai to kapde utarte hai, sone ka Irada karte hai to kurta wagaira utarte hai Phir bedar hote hai to kapde badal lete hai, aise moqo per Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki in Sunnaton ko yaad rakh ker aml karliya jaye to Kya Farq padh jaye ga?
1.Kapde pahnne aur utarne ki Pahli Sunnat ye hai k kapde pahnte huwe Aur utarte huwe Bismillah kaha jaye.
2.kapde pahente huwe chahe hum kurta pahnen ya Chadar odhen ya aur koi kapda pehne ya amama Bandhe to ye dua padhe, jo Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Padha karte the. “Allahummainnee as aluka min khairihi wa khairi maa huwa lahu wa a u'oozubika min sharrihi wa sharri maa huwa lahu”.( Abudawood, Tirmizi)
3.kapde Pahnte huwe sidhe janib se shuru Kare agar ham kurta, Qamees, wagaira pahenrahe hai to sidhe hath se shuru Karen, isi tarah pajama pahne to sidhe pair se shuru kare, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Ne irshad Farmaya,
(اِذَ لَبِستُم فَابدُوابِاَیمَانِکُم)
Iza labistum Fab’du biaimanikum (tirmizi) Jub tum Pahno to sidhi janib se shuru karo.
4.Kurta pahenna masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam sub kapdon me kurte ko zyada psnd farmate the.(shamail tirmizi).
5.Sufaid kapda pahenna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya, Sufaid kapda pahna karo is liye k wo zyada paak saaf Rahta hai.( shamail tirmizi).
*******{ Tilawat-e-Quran ki Sunnatain }********
Shuru Allah k Naam se: Aur Jub Quran Padha jaya Karen to us ki Taraf Kaan laga diya karo Aur khamoosh raha Karo Ummid hai k tum per Rahmat ho.
(Surah:Al-Araf, Surah No:7, Aayat No:204)
1.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya
(اِقرَءَالقُرآنَ فِی کُلّ ِشَھرٍ)
iqra’al quran fi kulli shahr (Muslim) Har mahine me Aik Quran Padha karo Zaher hai k Quran Majid me 30 pare hain, Agar 30 din me 30 pare mukamml karna ho toRozana aik pare ki Tilawat karni chahiye.
Agar koi Rozana Quran Majid ki Tilawat Karna chahe to us ka Aasan Nuskha ye hai k Farz Namaz k liye Jamat se 10,15 mnt Pehle Masjid pahonch jayen Sunnat kfouri baad Tilawat Karen, is tarah ba’aasani Aik parah Tajweed-o-Tarteel k sath padha ja sakta hai.
2.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya, Quran ko Taher Taher krsaaf saaf Padho aur us k Ehkam me gourkaro.(Mishkat) Aur Quran ko Taher Taher kr (saaf) Padha ker.
(Surah:Muzammil, Surah No:73, Aayat No:4)
Ye Babarkat kitab hai jise hum ne Aap ki taraf is Liye Nazil Farmaya hai k Log is ki Aayaton Per Gouro Fikr Karen aur Aqalmand isse Nasihat Hasil Karen.
(Surah:Sad, Surah No:38, Aayat No:29)
-----------------------{ Tilawat-e-Quran k 2 Ahem Aadab }-----------------------
1. Padhne wala dil me ye Khayal karen k Allah Tala Ne Hukum diya hai k Sunao Kaisa Padhte ho?
2. Sunne wala dil me ye khayal kare k Ahkamul Hakimeen Aur Mohsine Aa'zam ka Kalam Pak Padha ja raha hai is liye Nihayat Azmat Mohabbat aur Gour k sath Sunna Chahiye.
********{ Majlis se Uthte waqt ki Sunnatain }*********
Hum Mukhtalif Qism ki Majlison me uthte baith te hai, kabhi khane pine k liye ghar walo ya dosto k sath Baith te hai aur is douran in se Guftagu bhi karte hai.
Taleem-o-Ta’allum k douran apne hum dars sathiyo k sath baith te hai, Safar k douran Rafqaye safar k sath baith te hai, go ya bisoon martaba Hum mokhtalif Majliso me Uth te baith te hai, Agar Majlis me Baith te huwe ye Sunnatain bhi malhooz rahe to Kis Qadar Faida hoga?
1.Majlis ki aik sunnat ye bhi hai k Aane wale k liye Baith ne ki Gunjayesh paida Karen.Hazrat Abdulla bin umar R.A se riwayat hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya koi Aadmi Aisa na Karen k kisi dusre ko us ki jage seUtha ker Khud us jage baith jaye bal k logon ko Chahiye k wo aane walo k liye Kushadgi aur Gunjayesh paida kare aur un ko jage de de.(bukhar,Muslim).
2. Ye sunnat bhi majlis ki Malhooz rahe k Agar kisi majlis me do Aadmi milker Baithe ho to un k beech me un ki Ijazat k bagair na Baithen.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya 2 Aadmiyon k beech me un ki ijazat k bagair na baithe.
3. Jub Majlis se uthen to Mandarja zail dua padhen jis ko Kaffarah majlis kaha jata hai.(Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik).
4. Hazrat Ayesha R.A kehti hai k Rasoolallah sallaallahu alaihi wasallam jub kisi majlis me Baith te ya Namaz padhte (to us se uth te huwe ya namaz se Farig hone k baad) chnd Kalimat Padha karte the, (aik martaba) mai ne Aap sallaallahu alaihi wasallam se Pucha(k in kalimat ko padhne se kya faida hota hai?) to Aap sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya: “Agar in kalimat se pehle Majlis me Naik Baten huwi ho gi to ye Kalimat (un naik bato) pr Qayamat tk k liye Maher hojayenge (yani in kalimat ko padhne se wo naik baten qayamat tak Mahfooz Rahegi k in ka Sawab zaye nahi hoga), Agar un se pehle Majlis me Buri baten huwi hogi (to ye kalimat) un buri baton ki Muaafi aur Bakhsihs ka Zariya ban jayenge aur wo kalimat ye hai, (Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik) Paak hai tuaye Allah aur teri Tareef k sath Teri paki bayan ki jati hai, Tere sath koi mabood nahi, Mai Tujh se bakhshish chahta hun aur Tere Samne toba karta hun”.(Nasai)
Baad Isha Jald sone ki fikr karna duniya ki batena karna.
1.Sone se pehle ye dua Padhle (Allahumma bismika amutu wa ahya) Aye Allah mai Aap hi knaam k sath marta hu aur jita hun.(bukhari).
2.Ba’wazu soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jub tu tere bister per aaye to wazu karlen.
3.sone se pehle bister jhad le, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya,jub tum me se koi apne bister ki taraf aaye to apne bister ko jhad le.
(bukhari,muslim).
4.Sone se pehle 3 salai surma lagana.
5.kalima Tayyaba padhna.
6.Tasbeeh Fatima padhna(33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhumdulillah, 34 martaba Allahuakbar padhe.(bukhari,muslim).
7.Teeno Qul padhna surah:Ikhlas, surah:falaq, surah:nas, aur dono hateliyon ko jama Karen phir in me phook maren phir apne Jis per Apne dono hath 3 martaba phair le.(bukhari).
8.Surah:Mulk aur Alif lam meem Sajda padh karsona.
9.sidhi karwat per soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya
(ثُمَّ اضطَجَعَ عَلٰیشِقِّکَ الاَیمَنِ)
phir sidhi karwat per lait jaye.(bukhair,muslim).
10.sidhi rokhsar k niche apna sidha hath rakh len, Huzoor s.a.w jub aaram Farmate to apna sidha hath sidhe rokhsar k niche rakh lete the.(abudawud).
11.Jub Aap sallaallahu alaihi wasallam sona chahte apna daya hath dayen rokhsar k niche rakhte aur ye teen martaba Padhte.(Allahumma qini Azabaka yaoma Tab’asu Iba’dk) aye Allah mujhe bachana (us din) apne azab se, jis din tu uthaye ga apne bandon ko.(Abudawud).
12.Surah:Baqarah ki Aakhri (2) do Aayaten padhen, Huzoor s.a.w ne Irshad Farmaya, Jo koi in 2 aayaton ko jis Raat me Padhta hai ye 2aayaten us k liye kafi ho jati hai.(bukhari,muslim).
13.soker uthe to 3 baar Alhumdulillah kahen.
14.Kalima Shareef padhe.
15.soker uthne ki ye dua padhe (Alhmadulillahilladzi Ahyana Ba'Dama AmatanaWailaihinnusur)shukr ha allah ka jis ne hame zinda kiya baad mout dene k aur usi ki taraf uthna hai.(bukhari).
16.Jagne per sub se pehle dua padhna ya koi zikr zaban per jari karna.
17.Juta pehenne me sidhe pair se ibteda karna.
18.Hath dho ker pani me dalna. Ye wo sunnatain hai jin k ehtemam me na zyada waqt kharch hota hai aur na hi zyada mehnat lagti hai, lekin in Sunnaton ka Ehtemam karne se bahot se faide hai.
In duaon k Padhne aur Sunnaton k ehtemam seAadmi Allah Tala ki Hifazat me hota hai, Shaitan is se door hojata hai aur Aadmi har qism k Shar aur Aafaton se Mahfooz hojata hai,sote waqt in sunnaton per amal karne se rozana in sari sunnaton per amal ka sawab bhimilta hai, jo Aakhirat k liye Zakhira hai duniya ka Aaram bhi aur Aakhirat ki Rahat ka Saman bhi.
******* JUMMA KI SUNNATE *******
Shuru Allah k Naam se: Aye wo Logon jo Iman Laye hon! Juma k din Namaz ki Azan di Jaye to tum Allah k Zikr ki Taraf Doud pado Aur Kharid o Faroqt Chordo, ye Tumhare haq me Bahot hi Bahter hai Agar tum Jaante ho. Phir jub Namaz ho chuke to zameen me Phail jao aur Allah ka Fazl talash Karo Aur ba kasrat Allah kazikr kiya karo ta k tum Falah palo.(Surah:Al-Jumu’ah: Surah No:62: Aayat No: 9-10)
O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): that is best for youif ye but knew. And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper. (The Holly Quran - Chapter 62, Al-Jumu’ah - Verse 9-10)
*****************{ Aamale Juma}*****************
Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise Paak me Kaas Fazilat Aai hai Aur in per Amal Karne se Har Har Qadam per Aik saal Nafl Namaz Aur Aur aik Saal Nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko ImamTirmizi,
Imam Abudawood, Imam Nasai,
Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi Aali Ne).
Mulla Ali Qari Rahmatullahi aali ne Murqata Sharhe Mishkat me Baaz Aa’yimma Hadees se Naqal kiya hai k Aahadees Saheeh me Itni zyada Fazilat kisi aur Amal ki Nahi Aai hai wo 6 Amal ye Hai.
1. Gusul Karna.
2. Masjid Jaldi Jana.
3. Paidal Jana.
4. Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5. Koi Lagu Kaam na karna.
6. Khudba Gour se Sunna.
In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ihtemam Karna Chahiye.
1. Surah Kahf ki Tilawat.
2. Darood Shareef ki Kasrat Kumaskum 300 baar.
3. Salatu Tasbeeh Padhna.
4. Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member per baithe to dil hi dil me Dua karna.
5. Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ihtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.
“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay.
(Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)
......................✿....... H A D E E S .......✿......................
★ Sab Dino Se Behtar Juma Ka Din Hai.[Sahi Muslim :: Hadees No :: 854]
★ Susti Ki Waja Se 3 Jumay Chorne Wale k Dil Per ALLAH Mohar Laga Deta Hai.. [Abo Daood :: Hadees No :: 1067 AND IbneHabban :: Hadees No :: 553]
★ Juma K Din Gusul Karne Ka Hukum Hai.[Bukhari :: Hadees No :: 894 AND Sahi Muslim :: Hadees No :: 844]
★ Juma K Din Tail (Oil), Khusbu Aur Miswaak Karay.[Sahi Bukhari :: Hadees No 880 And 883].
✿ Hazrath Abu Hurairah Radi allahu anhu se Riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya,"Jab Jumaa ka Din aata hai to Farishte Masjid k Darwaze par Aane walon ka Naam likhte hain Sabse Pehle Aane wala Oont (camel) ki Qurbani dene wale ki tarah likha jata hai, Us k baad Aane wala Gaay (cow) ki Qurbani dene wale ki tarahPhir Mainde (sheep) ki Qurbani ka Sawab milta hai , Us k baad Murgi (chicken) ka, Us k baad Ande (egg) ka Lekin jab Imam (Khutba dene k liye) Bahar aa jata hai to ye Farishte apne Daftar Band kar dete hain Aur Khutba sunne main Mashgool ho jate hain."
[Sahih Bukhari :: Vol 2 :: Hadees 929]
*****************{ Jumah k Din ki Sunnatain}*****************
Hafta me aik din Juma ka din hai, jo Tamam dino ka sardar hai, is din ki baaz Makhsoos sunnatain hai Agar hum in sunnaton per har hafta amal karle to Mahine me kitni sunnatain ada hongi? Juma to har aadmi se guzarta hai aur har aadmi Juma k din se guzarta hai Lekin jis ka juma Sunnaton k ehtemam k sath guzar jaye wo qabile sad tahseen hai.
1.Juma k din gusul karna sunnat hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya ye wo din hai jis ko Allah Tala ne Eid ka din banaya ps tum is din Gusul karlo.(ibn majah).
2.Juma k din khushbo lagana bhi masnoon hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya jis k paas Khushbo ho us k liye koi harj nahi k wo khushbo lagaye.(ibn majah)
3.Juma k din miswak karna bhi sunnat hai, Jis ko Allah ne tumhare liye Eid ka din banaya hai ps tum Gusul karo aur tum ko chahiye k tum miswak bhi karo.( tabarani)
4.Juma k din ki Fajr ki Farz Namaz ki 2 rakaton me Surah:alif lam mim sajda, aur surah:daher, padhna bhi masnoon hai.
5.Juma k din Darood sharif ka Kasrat se Padhnabhi masnoon hai, Huzoor s.a.w ne farmaya, Tum log Juma k din mujh per darood ki kasrat kiya karo kyun k Tumhara darood mujh per paish hota hai aur paish hota rahega.(abudawud).
6.Juma k din Namaz ko jane se pehle nakhun katna aur mooch tarashna bhi masnoon hai, Hazrat Abu huraira r.a se riwayat hai k Rasoolullahs.a.w apne nakhun Tarashte the aur Lub (mooch) tarashte the Juma k din Namaz ko jane se Pehle(tabarani).
7.Juma ki Namaz k liye roz marra k kapdo k alawa doosre kapde pahenna bhi masnoon hai.
Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai k Rrasoolullahs.a.w ka khas joda tha jo Aap s.a.w Juma k din pehna karte the aur Jub Aap Namaz se farig hoker Tashreef late the to hum us ko theh kar k rakh dete the Aur phir wo Agle Juma hi ko Nikalta tha.(tabarani). 8.Juma k din Namaz k liye Awal waqt jana bhi masnoon hai.
Aamale Juma: Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise paak me khas Fazilat aai hai Aur in per Amal Karne se har har Qadam per Aik saal nafl Namaz aur aur aik Saal nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko Imam Tirmizi, Imam Abudawood, Imam Nasai, Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi alaih Ne).
1.Gusul Karna.
2.Masjid Jaldi Jana.
3.Paidal Jana.
4.Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5.Koi Lagu Kaam na karna.
6.Khudba Gour se Sunna.
In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ehtemam Karna Chahiye.
1.Surah Kahef ki Tilawat.
2.Durood Shareef ki Kasrat Kamaskam 300 baar.
3.Salatu Tasbeeh Padhna.
4.Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member perbaithe to dil hi dil me Dua karna.
5.Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ehtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.
*****{ Pani Peene ki Sunnatain }*****
1. Pani baith ker peena.
2. Pani daikh ker peena.
3. Peene se Pehle Bismillah kehna.
4. Dahine hath se peena.
5. Teen sans me Peena.
6. Peene k baad Alhumdulillah kehna
No comments:
Post a Comment