Faraz
Namazon ke ilwa chand nafli namazain hain ju ahle-taqwa ke liy boht
ajar wasabab rakhti hain aur inhain qayam rakhne se Allah Tallah ke
muhabat naseeb hoti hai aur dil main islam ka noor paida hota hai.
1- Namaz Tahajjud: Tahajjud
ke mani taraq som ke hain chonkay ye namaz Esha ke namaz ke bad rat ko
so ker uthne ke bad parhi jati hai. is liy ise Tahajjud kaha jata hai.
Faraz namazon ke bad sab se zada fazilat namaz Tahajjud ke hai. Nabi
(saw) ka farman hai, Namaz Tahajjud parho kioun ke ye tum se pehlay
salayheen ka tareka kar tha. Raat ka qayam Allah Tallah ke qurab ka
zariya hai. aur is se buraian khtum hoti hain aur gunah mit jatay hain.
Tamaz Tahajjud ke kam se kam 2 raktain hain aur zada se zada 12 raktain
hain. Ye Allah ke kahs bandon ke mehboob namaz hai aur is namaz ke
quraat main bari sortain perhna sunat hai.
2- Namaz Ishraq: Namaz
Ishraq soraj 2 naizay buland hone per parhi jati hai. Nabi (saw) ka
farman hai ju shaks Fajar ke namaz jamat ke sath perh ker zikar illahi
karta rahy yahan tak se soraj nikal ay yani soraj niklay 20 mint ho jain
pir 2 rakat namaz parhay tu usy poray hajj aur umrah ka sawab milay ga.
3- Namaz Chasht: Is namaz ka waqat aftab buland hone se nisaf anhar tak hai. Is namaz ke kam
se kam 2 raktain aur zada se zada 12 raktain hain. Is namaz ke bohat
zada fazilat hai aur hamysha perhne wale ke tamam chotay baray gunadh
baksh diy jatay hain.
4- Namaz Awabeen: Ye
namaz faraz, sunnat aur nuwafal ke bad parhi jati hai. is namaz ke kam
se kam 2 raktain aur zada se zada 20 raktain hain mager zadatar 6
raktain parhi jati hain. Nabi (saw) namaz Magrib ke bad 6 raktain
pehtay. Namaz awabeen perhne wale ke bakshish ho jati hai. Nabi (saw) ka
farman hai ju shaks Magrib ke namaz ke bad 20 raktain parhay Allah
Tallah us ke liy janat main mahal tayar karway ga.
5- Namaz Tasbeeh: Is
namaz ka bohat zada ajar sawab hai aur is ke 4 raktain hain. Ye namaz
makrooh owqat ( jab kisi namaz ke perhny ka waqat na ho ) ke lilawa jab
chahy parhi ja sakti hai. behtar hai ke namaz zohar ke bad parhay. Is
namaz ka tarekah ye hai,
Takbeer Tahreema ke bad ( SUBHAN ALLAHI WALHAMDULILLAHI WALAILLAHA ILLAHU WALLAHU AKBAR ) 15 bar parhay pir Surah Fatihah aur koi Surah Ikhlas perh ker pir yahi kalima 10 bar pir ruku main ( SUBHANA RABI YALAZEEM ) ke bad 1o bar yahi kalima pir ruku se uth ker ( SAMI ALLAHULIMUN HAMIDA ) aur ( RABANA LAKALHAMD ) ke bad yahi kalima 10 bar pir sajaday main ( SUBHANA RABI YALALLAH ) ke bad 10 bar yahi kalima pir uth ker jalisa main 10 bar yahi kalima pir sajdhay main ( SUBHANA RABI YALALLAH ) ke
bad 10 bar yahi kalima perh ker kahra ho jay. Is tarha ye kalima aik
rakat main 75 bar aur char rakton main 300 bar perha jay ga. Is namaz ka
bohat sawab hai.
6- Namaz Taraweeh: Ramadan
ke raton main Esha ke namaz ke bad witron se pehlay ju namaz parhi jati
hai usy namaz taraweeh kehtay hain. Mard aur aurtoon ke liy ye sunnat
mowakidah hai. Is ke 20 raktain 10 salamu ke sath hain. is namaz ka ajar
o sawab bohat zaida hai. Namaz Taraweeh main 4 rakat ke bad ye dua
parhi jati hai.
Transliteration: Subhana zel mulqi walmalakoot subhana zeel izzati wal'azmaati wal'haibaati wal'qudraati wal'qibriyaai waljabaroot subhanal malikil hayyi llazi la yanamu wala yamoot subhanal malikil hayyal lazi la yunamu wala yamoot subbu hun qadoosun rabbuna wa rabbul malaaekaati war rooh ALLAh humma ajirna mina'n naari ya mujeeru ya mujeeru ya mujeeru salawt bar MUHAMMAD (S.A.W.W)
7- Namaz Hajat: Dua
ke qabuliat aur hajat ke liy Namaz Hajat ada ke jati hai. Nabi (saw) ko
jab be koi aham mamla darpaish hota tu is ke liy 2 rakat ya 4 rakat
namaz hajat perhtay. Hadees main hai ke pehli rakat main Surah Fatihah
ke bad Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah Nass parhain pir us ke bad
dua mangane se pehlay in ayat ke tilawat karin.
Transliteration: laaila
haa illALLAH hul haleemul qareem subhaan ALLAH hee rabbil arshil azeem
WalhamduliALLAH HEE rabbil alameen as'aaluka mujibaati rahmatika
wa'aazaima mugfiraatika walgaimata min kulli birrin wa salamata min
kulli ism la tada lana zanbun illa gafarta hoo wala hamun illa faraj
tahoo wala hajaatan hiyya laka rizan illa qazaita haa yaa'arhamar
rahemeena ALLAH humma inni as'aaluka atwajja hoo ilaika be nabbiyika
muhammadin nabbi yir rahmaati ya rasoola ALLAH he inni qad tawajjahtu
bika ila rabbi fee hajaati hazi hee lituqza lee ALLAH humma fashaffiu
hoo fee
8- Namaz Istikhara: Ye
namaz Allah Tallah se kisi be kam ko shuru karne se pehlay rehnumayi
hasil karne ke liy ada ke jati hai. Namaz Istikhara ke liy be 2 rakat
namaz ada karin pir 11 bar durood shareef aur ye dua parhian pir 11 bar
durood shareef parhain. ager khwab main saffaid ye sabaz rang nazar ay
tu wo kam behter hai ager siya ya surakh rang nazar ay tu wo kam bura
hai.
Transliteration: ALLAH
humma inni astakheeruka be'ilmika wa'astgderuka bequd tarika
wa'asaaluka min fazlikal azeem fa innaka wataqdeeru wala'aa aqdeeru
wa'talamu wala'aa aalmu wa anta allamul gayuoob ALLAh humma in kunta
talamu anna hazal amra khairunl li fee deeni wama'aashi wa'aqibaati
amri wa'ajili amri wajili hee faqdir hoo lee wayassir hoo lee summa
barik lee fee hee wa inn kunta ta'lamu anna hazal amra sharun lee fee
deeni wama'aashi wa'aaqibaati amri wa'ajil amri wa jilihee fasrif hoo
anni wasrifni anhu waqdurliyal khaira haisu kana summa razzini beh
Namazon ke Qaza
Mukara
waqat per ju namaz na parhi jay wo qaza hai aur bilawaja namaz qaza
karna gunah hai. Namaz ko har surat ada kar laina chahiy khuwa qaza ho
ker hi ada ho jay. Farz namazon ke qaza farz hai aur witer ke qaza wajab
hai. Fajar ke sunnat ager farz ke sath qaza ho tu zawal se pehlay
parhay tu faraz ke sath sunnat be parhay aur ager zawal ke bad parhay tu
sunnat ke qaza nahi.
Juma
aur Zohar ke sunnaton ke qaza ho gai aur faraz perh liy ager waqat
kahtum ho gia tu sunnaton ke qaza nahi aur ager waqat baki hai tu
sunnaton ko be parhay.
Qaza umri ada karne ka tareka
Pehlay
zaroori hai qaza namazon ka hisab karin baligh hone ke bad se jis qadar
namazin qaza hoin un ko alag alag shumar kar ke jama kar lain. Example:
Fajar ke namaz ke qaza 2000 hai aur zohar ke namaz ke qaza 1000 hai is
tarh tamam namazon ke tadad hisab kar ke likh lain. Fajar ke waqat fajar
ke qaza, zohar ke waqat zohar ke qaza is tarha tamam namazon ke qaza
perhtay rahin aur hisab se kam kartay rahain. Is ka asan tareka ye hai
har farz namaz ke se pehaly ya bad aik namaz qaza perhtay rahin.
Fazilat ki raatein
Shab e Meraj: Hazrat Abu Huraira (ra) se rawait hai Nabi (saw) ne farmya jis ne 27 Rajab ka roza
rakha usy 60 maheno ke ibadat ka sawab mily ga. 27 Rajab rat Muhammad
(saw) ko miraj howa aur ise rat Hazrat Jibreel (as) Rasoollaha ke bargah
main risalat le ker nazil howay.
Rasoollah
(saw) ka irshad hai mah rajab main aik din aur aik rat aise hai ager is
din ka koi roza rakahy aur rat ibadat kare tu us ko 100 bars rozay
rakhne aur 100 bar ke raton main ibadat karne ka sawab mily ga.
Hazrat
Abdullah bin Masoud jab rajab ke 27 rat ati tu itkaf per baithay hotay
thay aur namaz zohar ke bad nafal perhne main mashgol ho jaty is ke bad 4
rakatin perhty aur har rakat main Surah Fatiha 1 dafa, Surah Qadar 3
dafa, Surah Ikhlas 59 dafa perhty pir namaz asar tak dua main mashgol
rehtay.
Hazrat
Abu Huraira (ra) se rawait hai ju shaks rajab ke 27 raat ko 12 rakat
nafal ke niyat se is tarkeeb se perhay Surah Fatiha ke bad Surah Qadar 3
dafa, Surah Iklas 12 dafa pir ise tarha 4 rakaat namaz ada karne ke bad
11 bar Durood Shareef aur ye ayat
( Subbuhun Quddusun Rabbuna wa Rabbul-Malaaikati war-Roohi )
( RABBIGHFIR WARHAM WATAJAWAZU AMMA TA'LAMU FA INNAKA ANTAL A'AZZUL AZAMU )( Astaghfirullah Rabbi Min Kulli Zambiyon Wa Atoobu ilaiyhi )( 3 times )
Pir 100 bar Durood Shareef aur 100 bar perhain
( Laa hawla wa laa quwwata illa billaahil aliul azeem ) ( 100 times )
aur apne liy, apne maa bap ke liy aur tamam umat-e-muslima ke liy dua kare tu Allah tallah usy 5 naymatain aata farmata hai,
1: Wo shaks tamam umer makhloq ka mohtaj nai ho ga.
2: Us ka kahtima eman per ho ga.
3: Is ke qabar had nigah tak qushada kar de jay ge.
4: Har kisum ke bemarion aur buri mout se mehfoz rahay ga.
5: Allah Tallah ke dedar se nusharaf ho ga.
Shab e Barat: Shaban
ke 15 rat shab burat kehlati hai. Burat ke matlab nijat ke raat hai. Is
rat Allah Tallah apne naik bandon koi khasosi rehmat se nawazta hai. Is
rat har amar ka faisla hota hai aur Allah Tallah makhlooq ko rizq
takseem farmata hai aur poray sal main un se sarzad hone wale aamal aur
paish aane walay waqyat se apne firshton ko bakahabr karta hai.
Hazart
Abubakar Sidque (ra) se riwayat hai Nabi (saw) ne farmaya ke Allah
Tallah farmata hai ke koi hai ju muj se baksish talab kare tu main usay
baksh don aur koi tandrusti mangay tu main aata kar don aur koi mukhtaj
hai tu usay rizaq aata kar don.
Hazrat
Ali (ra) se riwayat hai Nabi (saw) ne farmya Shab Buraat main Allah
Tallah pehlay asman per nazool farmata hai aur musrik, dil main keenah
rakhne wale, rishtadaron se taluk munqata karne wale aur badkar aurton
ke siwa tamam logon ke bakshish kar daita hai.
Shab Burat main 8 rakat nafal is tarha pari ke har rakat main S
urah Fatiha ke bad Surah Qadar 1 bad, Surah Ikhlas 25 bar parhain pir ise tarha 4 rakat ada karin aur 15 Shaban ka roza rakhin.
Namaz
Magrib ke bad 6 raktain 2, 2 ker ke parhin, 2 rakat umar darazi ke, 2
raktain makloq ka mihtaj na hone ke, 2 raktain balain aur bemarion se
nijat hasil karne ke niyat se parhain aur har 2 rakat ke bad Surah Yasin
1 bar, Surah Iklas 21 bar pir us ke bad ye dua parhain.
Transliteration: ALLAH humma yazal manni wala yumannu alaihee ya zuljalali walikraami ya zattooli
wal inaami laila haa illa'aa anta zahrool laheena wajarul mustajireen
wa amaanul khaaefeen ALLAH HUMMA inn kunta katabtaani indaka fee ummil
kitaabi shaqi yan aumahro man aumat roodan au muqqataran allaya feer
rizqi famh ALLAH HUMMA be fazliqa shqawati wa hirmaani wa tardi waq
titaara rizqi wasbitni indaka fee ummil kitaabi sa'eedanm marzuqanm
muwaffaqanl lil khairaat fa innaka qulta wa qaulukal haqqu fee
Transliteration: Kitaabikal
munazzali alaa lisaani nibbiyikal mursal yumhoo ALLAH hoo ma yashaa'ou
wa yusbitu wa inda hoo ummul qitaab ilaahi bitajjalill azami fee
lailatin nisfi min shahri sha'baanal mukkaram allati yufraqoo fehaa
kullu amrin hakeemin wa yubram un takshifa anna minal balaa'e
walbalwaa'e mana'lamu wamala nalam wa anta be hee alam innaka antal
a'azzul akram WSALLALA HOO TALA alaa sayyedeena MUHAMMADIN wa alaa
alihee wa ashaabi hee wasallam wal hamdu liallah hee rabbil alameen
Shab e Qadar: Shab
Qadar Ramdan mubarak ke 27 rat kehlati hai aur is rat ke ibadat 1000
mahinay ke ibadat se be afzal hai.is liy is rat main zada se zada nafal
perhne aur ibadat karni chahiy.
1:
is rat main 2 rakat nafal ada karin. Har rakat main Surah Fatiha, Surah
Qadar aur Surah Ikhas 3 bar parhin tu is ko shab qadar ka sawab hasil
ho ga aur is ko aik shaher janat main dia jay ga ju mashrik se magrib
tak lamba ho ga.
2:
Nabi (saw) ne farmaya ju shaks shab qadar main 2 rakat namaz parhy har
rakat main Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas 7 bar parhay aur namaz ke
bad ye ayat mubarka 70 dafa parhay.
( Astaghfirullah Rabbi Min Kulli Zambiyon Wa Atoobu ilaiyhi )( 70 times )
Tu
Allah Tallah us ke uthne se pehlay us ke waldain ke gunahon se magfirat
farma de ga aur frishton ho hukam ho ga ke is ke liy janat main darakht
lagatay rahin, mahal tameer karty rahain aur perhne wala un ko jab tak
apni aankh se khwab main na dykh le ga is us waqat tak usy moot nahi ay
ge.
3:
Ju shaks 4 rakat namaz ada kare. har rakat main Surah Fatiha ke bad
Surah Atkasur 1 bar, Surah Ikhlas 3 bar parhay ga us per moot ke skahti
asan ho ge, azab qabar uth jay ga. Is ko janat ke 4 stoon milain ge jin
ke har sutoon per 1000 mahal hon ge.
4:
Ju shaks Ramdan ke 27 raat ko 4 rakat nafal namaz parhay har rakat main
Surah Fatiha ke bad Surah Qadar 3 bar, Surah Ikhlas 50 bar parhay aur
namaz ke bad ye kalimat parhay, Wo ju dua mangay ga wo pori ho ge.
( Subhanallah walhamdulillahi wala ilaha illallahu wallahu akbar )( 50 times )
5:
Harat Ali (ra) farmatay hain ju shaks shab qadar main namaz Esha ke bad
Surah Qadar 7 dafa parhay ga usey har musibat se nijat mily ge aur 1000
frishtay us ke liy janat ke dua kartay hain.
Fazail e Ashura: Islami
mahina mah Muharan se shuru hota hai. Is mahney main karbala ka wakiya
howa aur Hazrat Imam Hussain shahdat ke martaby per faaiz howay. Is
mahenay main Allah Tallah ne zameen aur asman banay. Is mahenay main
Hazrat Adam (as) ke tobah qubool hoi. is mahinay main janat aur dozakh
ko banaya gia. Is mahenay ke 10 tarikh ko roz qayamat ay ga.
1
Moharam ko 2 rakat nafal parhain. Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas 3
bar parhain aur namaz ke bad dua karin tu Allah Tallah aik frishta
mukarar kare ga ju perhne wale shaks ke naik kamu main madad kare ga aur
buray kamu se bachay ga.
No comments:
Post a Comment